Paanch Hazaar Saal ki meri maan
Iske bache poori dunya mein aaj rawaan
Iska ghar Karakoram ta Karachi tak bana
Isne poori zindagi apne bachon ka khayal kiya
Phool, khet , kalyaan diye aur dil mein jaga dee
Peenay kay liye paani, khaane ke liye Palla diya, yeh faslen deen
Paanch hazaar saal ki meri maan
Par iske bachon ne isse kaha hai jhoot,
Iski tahzeeb ko pohonchaya hai thes
Iske doosre bachon ki lee hai jaan,
Iske raaston pe daali hai chataan
Phir yaad rakh maan ka intakaam
Panch hazar saal ki meri maan
Woh maan jo apne bache bhool gayi
Har saal unke ghar barbaad kargayi
Nh chair ise aur
Mat samajh ise apna dost
Kaheen tera haal bhi tere abaa o ajdaad wala na ho
Panch hazaar saal ki meri maan